kabhi khud ko dard-shanaas karo kabhi aao na | कभी ख़ुद को दर्द-शनास करो कभी आओ ना - Aftab Iqbal Shamim

kabhi khud ko dard-shanaas karo kabhi aao na
mujhe itna to na udaas karo kabhi aao na

meri umr-saraaye mahke hai gul-e-hijraan se
kabhi aao aa kar baas karo kabhi aao na

mujhe chaand mein shakl dikhaai de jo duhaai de
koi chaara-e-hosh-o-hawas karo kabhi aao na

isee gosha-e-yaad mein baitha hoon kai barson se
kisi raft-guzasht ka paas karo kabhi aao na

kahi aab-o-hawaa-e-tishna-labi mujhe maar na de
use barkha ban kar raas karo kabhi aao na

sada aate jaate mausam ki ye gulaab-ruten
koi der hain ye ehsaas karo kabhi aao na

कभी ख़ुद को दर्द-शनास करो कभी आओ ना
मुझे इतना तो न उदास करो कभी आओ ना

मिरी उम्र-सराए महके है गुल-ए-हिज्राँ से
कभी आओ आ कर बास करो कभी आओ ना

मुझे चाँद में शक्ल दिखाई दे जो दुहाई दे
कोई चारा-ए-होश-ओ-हवास करो कभी आओ ना

इसी गोशा-ए-याद में बैठा हूँ कई बरसों से
किसी रफ़्त-गुज़श्त का पास करो कभी आओ ना

कहीं आब-ओ-हवा-ए-तिश्ना-लबी मुझे मार न दे
उसे बरखा बन कर रास करो कभी आओ ना

सदा आते जाते मौसम की ये गुलाब-रुतें
कोई देर हैं ये एहसास करो कभी आओ ना

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari