kar diya khud ko samundar ke hawaale ham ne
tab kahi gauhar-e-naayaab nikale ham ne
zindagi naam hai chalne ka to chalte hi rahe
ruk ke dekhe na kabhi paanv ke chaale ham ne
jab se ham ho gaye darvesh tire kooche ke
tab se tode nahin sone ke nivaale ham ne
teri chaahat si nahin dekhi kisi ki chaahat
vaise dekhe hain bahut chaahne waale ham ne
hum-safar tu jo raha ham bhi ujaale mein rahe
phir tire ba'ad kahaan dekhe ujaale ham ne
ek bhi she'r guhar ban ke na chamka afzal
kitne dariya-e-khyaalaat khangaale ham ne
कर दिया ख़ुद को समुंदर के हवाले हम ने
तब कहीं गौहर-ए-नायाब निकाले हम ने
ज़िंदगी नाम है चलने का तो चलते ही रहे
रुक के देखे न कभी पाँव के छाले हम ने
जब से हम हो गए दरवेश तिरे कूचे के
तब से तोड़े नहीं सोने के निवाले हम ने
तेरी चाहत सी नहीं देखी किसी की चाहत
वैसे देखे हैं बहुत चाहने वाले हम ने
हम-सफ़र तू जो रहा हम भी उजाले में रहे
फिर तिरे बा'द कहाँ देखे उजाले हम ने
एक भी शे'र गुहर बन के न चमका 'अफ़ज़ल'
कितने दरिया-ए-ख़यालात खंगाले हम ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Chaahat Shayari Shayari