tere jalvo ko roo-b-roo kar ke
tujh se milte hain ham wuzoo kar ke
tere kooche se laut aaye ham
apni aankhen lahu lahu kar ke
chaak-daaman hai chaak rahne de
kya karega use rafu kar ke
tere lehje mein kaisa jaadu hai
ham bhi dekhenge guftugoo kar ke
apni duniya lutaaye baitha hoon
ye mila teri justuju kar ke
kho diya hai charaagh bhi afzal
chaand taaron ki aarzoo kar ke
तेरे जल्वों को रू-ब-रू कर के
तुझ से मिलते हैं हम वुज़ू कर के
तेरे कूचे से लौट आए हम
अपनी आँखें लहू लहू कर के
चाक-दामन है चाक रहने दे
क्या करेगा उसे रफ़ू कर के
तेरे लहजे में कैसा जादू है
हम भी देखेंगे गुफ़्तुगू कर के
अपनी दुनिया लुटाए बैठा हूँ
ये मिला तेरी जुस्तुजू कर के
खो दिया है चराग़ भी 'अफ़ज़ल'
चाँद तारों की आरज़ू कर के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Chaand Shayari Shayari