sulagti ret pe tahreer jo kahaani hai | सुलगती रेत पे तहरीर जो कहानी है - Afzal Allahabadi

sulagti ret pe tahreer jo kahaani hai
mere junoon ki ik anmol vo nishaani hai

main apne aap ko tanhaa samajh raha tha magar
suna hai tum ne bhi sehra ki khaak chaani hai

ghamon ki dhoop mein rahna hai saaebaan ki tarah
khyaal-e-gesoo-e-jaanan ki meherbaani hai

kabhi udhar se jo guzrega kaarwaan apna
to hum bhi dekhenge dariya mein kitna paani hai

main ab bhi shaan se zinda hoon shehar-e-qaatil mein
mere khuda ki yaqeenan ye meherbaani hai

bura na maano to main saaf saaf ye kah doon
tumhaare pyaar ka da'wa faqat zabaani hai

andhera rehta na baaki kahi magar afzal
kab aandhiyon ne charaagon ki baat maani hai

सुलगती रेत पे तहरीर जो कहानी है
मिरे जुनूँ की इक अनमोल वो निशानी है

मैं अपने आप को तन्हा समझ रहा था मगर
सुना है तुम ने भी सहरा की ख़ाक छानी है

ग़मों की धूप में रहना है साएबाँ की तरह
ख़याल-ए-गेसू-ए-जानाँ की मेहरबानी है

कभी उधर से जो गुज़रेगा कारवाँ अपना
तो हम भी देखेंगे दरिया में कितना पानी है

मैं अब भी शान से ज़िंदा हूँ शहर-ए-क़ातिल में
मिरे ख़ुदा की यक़ीनन ये मेहरबानी है

बुरा न मानो तो मैं साफ़ साफ़ ये कह दूँ
तुम्हारे प्यार का दा'वा फ़क़त ज़बानी है

अँधेरा रहता न बाक़ी कहीं मगर 'अफ़ज़ल'
कब आँधियों ने चराग़ों की बात मानी है

- Afzal Allahabadi
1 Like

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari