ashk aankhon mein liye aathon pahar dekhega kaun | अश्क आँखों में लिए आठों पहर देखेगा कौन

  - Afzal Allahabadi

ashk aankhon mein liye aathon pahar dekhega kaun
ham nahin honge to teri raahguzaar dekhega kaun

sham'a bhi bujh jaayegi parwaana bhi jal jaayega
raat ke dono musaafir hain shajar dekhega kaun

sone aur chaandi ke bartan ki numaish hai yahan
main hoon kooza-gar mera dast-e-hunar dekhega kaun

jis qadar dooba hua hoon khud main apne khoon mein
khud ko apne khoon mein yun tar-b-tar dekhega kaun

har taraf maqtal mein hai chhaai hui veeraaniyaan
neza-e-baatil pe aakhir mera sar dekhega kaun

mere zaahir par nigaahen sab ki hain afzal magar
mere andar jo chhupa hai vo guhar dekhega kaun

अश्क आँखों में लिए आठों पहर देखेगा कौन
हम नहीं होंगे तो तेरी रहगुज़र देखेगा कौन

शम्अ भी बुझ जाएगी परवाना भी जल जाएगा
रात के दोनों मुसाफ़िर हैं शजर देखेगा कौन

सोने और चाँदी के बर्तन की नुमाइश है यहाँ
मैं हूँ कूज़ा-गर मिरा दस्त-ए-हुनर देखेगा कौन

जिस क़दर डूबा हुआ हूँ ख़ुद मैं अपने ख़ून में
ख़ुद को अपने ख़ून में यूँ तर-ब-तर देखेगा कौन

हर तरफ़ मक़्तल में है छाई हुई वीरानियाँ
नेज़ा-ए-बातिल पे आख़िर मेरा सर देखेगा कौन

मेरे ज़ाहिर पर निगाहें सब की हैं 'अफ़ज़ल' मगर
मेरे अंदर जो छुपा है वो गुहर देखेगा कौन

  - Afzal Allahabadi

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari