luta raha hoon main laal-o-guhar andhere mein
talash karti hai kis ko nazar andhere mein
vo jis ki raah mein main ne diye jalaae the
gaya vo shakhs mujhe chhod kar andhere mein
charaagh kaun utha le gaya mere ghar se
sisak rahe hain mere baam-o-dar andhere mein
tha teergi ke janaaze pe ek hashr bapaa
jo us ke aane se phaili khabar andhere mein
koi hatheli pe firta hai aftaab liye
bhatk raha hai koi dar-b-dar andhere mein
mein koh-e-noor hoon naadaan tujhe khabar bhi nahin
mujhe chhupaane ki koshish na kar andhere mein
musaafiron ko vo raahen dikhaayega afzal
charaagh rakh do sar-e-rahguzar andhere mein
लुटा रहा हूँ मैं लाल-ओ-गुहर अँधेरे में
तलाश करती है किस को नज़र अँधेरे में
वो जिस की राह में मैं ने दिए जलाए थे
गया वो शख़्स मुझे छोड़ कर अँधेरे में
चराग़ कौन उठा ले गया मिरे घर से
सिसक रहे हैं मिरे बाम-ओ-दर अँधेरे में
था तीरगी के जनाज़े पे एक हश्र बपा
जो उस के आने से फैली ख़बर अँधेरे में
कोई हथेली पे फिरता है आफ़्ताब लिए
भटक रहा है कोई दर-ब-दर अँधेरे में
में कोह-ए-नूर हूँ नादाँ तुझे ख़बर भी नहीं
मुझे छुपाने की कोशिश न कर अँधेरे में
मुसाफिरों को वो राहें दिखाएगा 'अफ़ज़ल'
चराग़ रख दो सर-ए-रहगुज़र अँधेरे में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Andhera Shayari Shayari