ghamon ki dhoop mein milte hain saaebaan ban kar
zameen pe rahte hain kuchh log aasmaan ban kar
ude hain jo tire qadmon se khaak ke zarre
chamak rahe hain falak par vo kahkashaan ban kar
jinhen naseeb hui hai tire badan ki naseem
mahak rahe hain zameen par vo gulsitaan ban kar
mein iztiraab ke aalam mein raqs karta raha
kabhi ghubaar ki soorat kabhi dhuaan ban kar
meri sadaaon ko ab to panaah mil jaaye
tujhe pukaar raha hoon tiri zabaan ban kar
main is zameen ki wusa'at pe sair karta hoon
falak ke chaand sitaaron ka raaz-daan ban kar
masarraton ki fazaa mein sada vo rahte hain
jo gham ke maaron se milte hain meherbaan ban kar
unhin ko shaan-e-chaman ye zamaana kehta hai
chaman ko loot rahe hain jo baagbaan ban kar
main harf harf jise padh chuka hoon ai afzal
varq varq pe vo bikhra hai dastaan ban kar
ग़मों की धूप में मिलते हैं साएबाँ बन कर
ज़मीं पे रहते हैं कुछ लोग आसमाँ बन कर
उड़े हैं जो तिरे क़दमों से ख़ाक के ज़र्रे
चमक रहे हैं फ़लक पर वो कहकशाँ बन कर
जिन्हें नसीब हुई है तिरे बदन की नसीम
महक रहे हैं ज़मीं पर वो गुल्सिताँ बन कर
में इज़्तिराब के आलम में रक़्स करता रहा
कभी ग़ुबार की सूरत कभी धुआँ बन कर
मिरी सदाओं को अब तो पनाह मिल जाए
तुझे पुकार रहा हूँ तिरी ज़बाँ बन कर
मैं इस ज़मीन की वुसअ'त पे सैर करता हूँ
फ़लक के चाँद सितारों का राज़-दाँ बन कर
मसर्रतों की फ़ज़ा में सदा वो रहते हैं
जो ग़म के मारों से मिलते हैं मेहरबाँ बन कर
उन्हीं को शान-ए-चमन ये ज़माना कहता है
चमन को लूट रहे हैं जो बाग़बाँ बन कर
मैं हर्फ़ हर्फ़ जिसे पढ़ चुका हूँ ऐ 'अफ़ज़ल'
वरक़ वरक़ पे वो बिखरा है दास्ताँ बन कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Pollution Shayari Shayari