ye haqeeqat hai vo kamzor hua karti hain | ये हक़ीक़त है वो कमज़ोर हुआ करती हैं - Afzal Allahabadi

ye haqeeqat hai vo kamzor hua karti hain
apni taqdeer ka qaumen jo gila karti hain

ret par jab bhi banata hai gharaunda koi
sar-firi maujen use dekh liya karti hain

main gulistaan ki hifazat ki dua karta hoon
bijliyaan mere nasheeman pe gira karti hain

jaane kya wasf nazar aata hai mujh mein un ko
titliyan mere ta'aqub mein raha karti hain

teri dahleez se nisbat jise ho jaati hai
azmatein us ke muqaddar mein hua karti hain

kyun na gul-booton ke chehron pe nikhaar aa jaaye
ye hawaaein jo tira zikr kiya karti hain

apni nazaron mein jo rakhta hai tire naqsh-e-qadam
manzilen us ke ta'aqub mein raha karti hain

chain ki neend mujhe aaye to kaise aaye
meri aankhen jo tira khwaab buna karti hain

us ki rahmat ke diye jo bhi hain raushan afzal
aandhiyaan un ki hifazat mein raha karti hain

ये हक़ीक़त है वो कमज़ोर हुआ करती हैं
अपनी तक़दीर का क़ौमें जो गिला करती हैं

रेत पर जब भी बनाता है घरौंदा कोई
सर-फिरी मौजें उसे देख लिया करती हैं

मैं गुलिस्ताँ की हिफ़ाज़त की दुआ करता हूँ
बिजलियाँ मेरे नशेमन पे गिरा करती हैं

जाने क्या वस्फ़ नज़र आता है मुझ में उन को
तितलियाँ मेरे तआ'क़ुब में रहा करती हैं

तेरी दहलीज़ से निस्बत जिसे हो जाती है
अज़्मतें उस के मुक़द्दर में हुआ करती हैं

क्यूँ न गुल-बूटों के चेहरों पे निखार आ जाए
ये हवाएँ जो तिरा ज़िक्र किया करती हैं

अपनी नज़रों में जो रखता है तिरे नक़्श-ए-क़दम
मंज़िलें उस के तआ'क़ुब में रहा करती हैं

चैन की नींद मुझे आए तो कैसे आए
मेरी आँखें जो तिरा ख़्वाब बुना करती हैं

उस की रहमत के दिए जो भी हैं रौशन 'अफ़ज़ल'
आँधियाँ उन की हिफ़ाज़त में रहा करती हैं

- Afzal Allahabadi
1 Like

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari