meri deewaangi ki had na poocho tum kahaan tak hai | मिरी दीवानगी की हद न पूछो तुम कहाँ तक है - Afzal Allahabadi

meri deewaangi ki had na poocho tum kahaan tak hai
zameen par hoon magar meri rasai la-makaan tak hai

tira jalwa to aise aam hai saare zamaane mein
wahi tak dekh saka hai nazar jis ki jahaan tak hai

kisi ko kya khabar ehsaas hai lekin mere dil ko
ki us ke pyaar ki barsaat mere dast-e-jaan tak hai

zara barq-e-sitam se pooch leta kaash koi ye
tire qahar-o-ghazab ka silsila aakhir kahaan tak hai

humeen chubhte hain kyun kaanton ki soorat aankh mein teri
fasaadi ka nishaana kyun hamaare hi makaan tak hai

tavajjoh khaak ke zarroon ki jaanib kyun karein afzal
nazar apni mah-o-parveen tak hai kahkashaan tak hai

मिरी दीवानगी की हद न पूछो तुम कहाँ तक है
ज़मीं पर हूँ मगर मेरी रसाई ला-मकाँ तक है

तिरा जल्वा तो ऐसे आम है सारे ज़माने में
वहीं तक देख सकता है नज़र जिस की जहाँ तक है

किसी को क्या ख़बर एहसास है लेकिन मिरे दिल को
कि उस के प्यार की बरसात मेरे दश्त-ए-जाँ तक है

ज़रा बर्क़-ए-सितम से पूछ लेता काश कोई ये
तिरे क़हर-ओ-ग़ज़ब का सिलसिला आख़िर कहाँ तक है

हमीं चुभते हैं क्यूँ काँटों की सूरत आँख में तेरी
फ़सादी का निशाना क्यूँ हमारे ही मकाँ तक है

तवज्जोह ख़ाक के ज़र्रों की जानिब क्यूँ करें 'अफ़ज़ल'
नज़र अपनी मह-ओ-परवीन तक है कहकशाँ तक है

- Afzal Allahabadi
0 Likes

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari