yun ilaaj-e-dil beemaar kiya jaayega
sharbat-e-deed se sarshaar kiya jaayega
hasrat-e-deed mein beenaai ganwa baithe jo
is se kaise tira deedaar kiya jaayega
so raha hoon main zamaane se tira khwaab liye
neend se kab mujhe bedaar kiya jaayega
toot jaayega bharam pariyon ki shehzaadi ka
jab tire husn ko shehkaar kiya jaayega
khud-kushi ki khabar akhbaar ki surkhi hogi
qatl mujh ko pas-e-deewaar kiya jaayega
main sadaqat hoon mujhe maut nahin aayegi
vaise masloob kai baar kiya jaayega
in charaagon ke tabassum mein lahu hai mera
kab hawaon ko khabar-daar kiya jaayega
dil ke jazbaat jawaan aur bhi ho jaayenge
meri raahon ko jo dushwaar kiya jaayega
honge sharminda manaadir ke kals bhi afzal
kisi masjid ko jo mismar kiya jaayega
यूँ इलाज-ए-दिल बीमार किया जाएगा
शर्बत-ए-दीद से सरशार किया जाएगा
हसरत-ए-दीद में बीनाई गँवा बैठे जो
इस से कैसे तिरा दीदार किया जाएगा
सो रहा हूँ मैं ज़माने से तिरा ख़्वाब लिए
नींद से कब मुझे बेदार किया जाएगा
टूट जाएगा भरम परियों की शहज़ादी का
जब तिरे हुस्न को शहकार किया जाएगा
ख़ुद-कुशी की ख़बर अख़बार की सुर्ख़ी होगी
क़त्ल मुझ को पस-ए-दीवार किया जाएगा
मैं सदाक़त हूँ मुझे मौत नहीं आएगी
वैसे मस्लूब कई बार किया जाएगा
इन चराग़ों के तबस्सुम में लहू है मेरा
कब हवाओं को ख़बर-दार किया जाएगा
दिल के जज़्बात जवाँ और भी हो जाएँगे
मेरी राहों को जो दुश्वार किया जाएगा
होंगे शर्मिंदा मनादिर के कलस भी 'अफ़ज़ल'
किसी मस्जिद को जो मिस्मार किया जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Jalwa Shayari Shayari