har naghma-e-pur-dard har ik saaz se pehle | हर नग़मा-ए-पुर-दर्द हर इक साज़ से पहले

  - Afzal Allahabadi

har naghma-e-pur-dard har ik saaz se pehle
hangaama bapaa hota hai aaghaaz se pehle

dil dard-e-mohabbat se to waqif bhi nahin tha
jaanaan tire bakshe hue ezaaz se pehle

sholoon pe chalaati hai mohabbat dil-e-naadaan
anjaam zara soch le aaghaaz se pehle

ab meri tabaahi ka use gham bhi nahin hai
jis ne mujhe chaaha tha bade naaz se pehle

shaheen vo kahlaane ka haqdaar nahin hai
jo soo-e-falak dekhe na parwaaz se pehle

ab raaz ki baatein na bata de vo kisi se
ye khauf nahin tha kabhi hamraaz se pehle

thi meer-taqi-meer ki nauhagaari mashhoor
afzal ki sisakti hui awaaz se pehle

हर नग़मा-ए-पुर-दर्द हर इक साज़ से पहले
हंगामा बपा होता है आग़ाज़ से पहले

दिल दर्द-ए-मोहब्बत से तो वाक़िफ़ भी नहीं था
जानाँ तिरे बख़्शे हुए एज़ाज़ से पहले

शो'लों पे चलाती है मोहब्बत दिल-ए-नादाँ
अंजाम ज़रा सोच ले आग़ाज़ से पहले

अब मेरी तबाही का उसे ग़म भी नहीं है
जिस ने मुझे चाहा था बड़े नाज़ से पहले

शाहीन वो कहलाने का हक़दार नहीं है
जो सू-ए-फ़लक देखे न पर्वाज़ से पहले

अब राज़ की बातें न बता दे वो किसी से
ये ख़ौफ़ नहीं था कभी हमराज़ से पहले

थी मीर-तक़ी-'मीर' की नौहागरी मशहूर
'अफ़ज़ल' की सिसकती हुई आवाज़ से पहले

  - Afzal Allahabadi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari