dawa-e-dard-e-gham-o-iztiraab kya deta | दवा-ए-दर्द-ए-ग़म-ओ-इज़्तिराब क्या देता

  - Afzal Allahabadi

dawa-e-dard-e-gham-o-iztiraab kya deta
vo meri aankhon ko rangeen khwaab kya deta

thi meri aankhon ki qismat mein tishnagi likkhi
vo apni deed ki mujh ko sharaab kya deta

kiya sawaal jo main ne wafa ke qaateel se
zabaan pe qufl laga tha jawaab kya deta

main chahta tha ki us ko gulaab pesh karoon
vo khud gulaab tha us ko gulaab kya deta

vo jis ne dekha nahin ishq ka kabhi khushhaali
main us ke haath mein dil ki kitaab kya deta

mere naseeb mein mitti ka ik diya bhi na tha
tiri hatheli pe main aftaab kya deta

main us se pyaas ka shikwa na kar saka afzal
jo khud hi tishna tha vo mujh ko aab kya deta

दवा-ए-दर्द-ए-ग़म-ओ-इज़्तिराब क्या देता
वो मेरी आँखों को रंगीन ख़्वाब क्या देता

थी मेरी आँखों की क़िस्मत में तिश्नगी लिक्खी
वो अपनी दीद की मुझ को शराब क्या देता

किया सवाल जो मैं ने वफ़ा के क़ातिल से
ज़बाँ पे क़ुफ़्ल लगा था जवाब क्या देता

मैं चाहता था कि उस को गुलाब पेश करूँ
वो ख़ुद गुलाब था उस को गुलाब क्या देता

वो जिस ने देखा नहीं इश्क़ का कभी मकतब
मैं उस के हाथ में दिल की किताब क्या देता

मिरे नसीब में मिट्टी का इक दिया भी न था
तिरी हथेली पे मैं आफ़्ताब क्या देता

मैं उस से प्यास का शिकवा न कर सका 'अफ़ज़ल'
जो ख़ुद ही तिश्ना था वो मुझ को आब क्या देता

  - Afzal Allahabadi

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari