kisi ki yaad rulaaye to kya kiya jaaye | किसी की याद रुलाये तो क्या किया जाए - Afzal Allahabadi

kisi ki yaad rulaaye to kya kiya jaaye
shab-e-firaq sataaye to kya kiya jaaye

jo rafta rafta gham-e-intizaar ki deemak
mere vujood ko khaaye to kya kiya jaaye

shab-e-firaq ho ya ho visaal ka mausam
ye dil sukoon na paaye to kya kiya jaaye

dikha ke chaand sa chehra vo husn ka paikar
aseer apna banaaye to kya kiya jaaye

sharaab-noshi se main door bhaagta hoon magar
koi nazar se bhulaaye to kya kiya jaaye

mere ilaaj ko kitne tabeeb aaye magar
dava bhi dard badhaaye to kya kiya jaaye

sukoon milta hai jis ki nigaah se afzal
wahi nigaah churaaye to kya kiya jaaye

किसी की याद रुलाये तो क्या किया जाए
शब-ए-फ़िराक़ सताए तो क्या किया जाए

जो रफ़्ता रफ़्ता ग़म-ए-इंतिज़ार की दीमक
मिरे वजूद को खाए तो क्या किया जाए

शब-ए-फ़िराक़ हो या हो विसाल का मौसम
ये दिल सुकून न पाए तो क्या किया जाए

दिखा के चाँद सा चेहरा वो हुस्न का पैकर
असीर अपना बनाए तो क्या किया जाए

शराब-नोशी से मैं दूर भागता हूँ मगर
कोई नज़र से भुलाए तो क्या किया जाए

मिरे इलाज को कितने तबीब आए मगर
दवा भी दर्द बढ़ाए तो क्या किया जाए

सुकून मिलता है जिस की निगाह से 'अफ़ज़ल'
वही निगाह चुराए तो क्या किया जाए

- Afzal Allahabadi
0 Likes

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari