ye bata de mujh ko mere dil kise awaaz doon
khud maseeha hai mera qaateel kise awaaz doon
jitne saaqi the mere sab nazar-e-toofaan ho gaye
aur koson door hai saahil kise awaaz doon
le gaya vo saath apne gulshan-e-dil ki bahaar
sooni sooni hai meri mehfil kise awaaz doon
haal mera khanjar-e-maazi se zakhmi ho gaya
ro raha hai mera mustaqbil kise awaaz doon
vo chalaata hai ajab andaaz se teer-e-nazar
aur mein ho jaata hoon bismil kise awaaz doon
kaun hai mushkil-kusha mera qaba tere siva
jab pade mujh par koi mushkil kise awaaz doon
jaan nichhawar kar raha tha mujh pe jo afzal kabhi
dushmanon mein vo bhi hai shaamil kise awaaz doon
ये बता दे मुझ को मेरे दिल किसे आवाज़ दूँ
ख़ुद मसीहा है मिरा क़ातिल किसे आवाज़ दूँ
जितने साक़ी थे मिरे सब नज़र-ए-तूफ़ाँ हो गए
और कोसों दूर है साहिल किसे आवाज़ दूँ
ले गया वो साथ अपने गुलशन-ए-दिल की बहार
सूनी सूनी है मिरी महफ़िल किसे आवाज़ दूँ
हाल मेरा ख़ंजर-ए-माज़ी से ज़ख़्मी हो गया
रो रहा है मेरा मुस्तक़बिल किसे आवाज़ दूँ
वो चलाता है अजब अंदाज़ से तीर-ए-नज़र
और में हो जाता हूँ बिस्मिल किसे आवाज़ दूँ
कौन है मुश्किल-कुशा मेरा क़बा तेरे सिवा
जब पड़े मुझ पर कोई मुश्किल किसे आवाज़ दूँ
जाँ निछावर कर रहा था मुझ पे जो 'अफ़ज़ल' कभी
दुश्मनों में वो भी है शामिल किसे आवाज़ दूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Andaaz Shayari Shayari