jo meri aarzoo nahin karta
us ki main justuju nahin karta
hijr-e-jaanan mein apne ashkon se
kaun hai jo wuzoo nahin karta
vo to tera kaleem tha warna
sab se tu guftugoo nahin karta
sayyad-ul-ambiyaa the vo warna
sab ko tu roo-b-roo nahin karta
teri nisbat mili mujhe jab se
main koi aarzoo nahin karta
har ghadi jis ki baat karta hoon
mujh se vo guftugoo nahin karta
dar-b-dar yun nahin bhatkata main
jo faraamosh tu nahin karta
ho nahin paati shaayri afzal
nazr jab tak lahu nahin karta
जो मिरी आरज़ू नहीं करता
उस की मैं जुस्तुजू नहीं करता
हिज्र-ए-जानाँ में अपने अश्कों से
कौन है जो वुज़ू नहीं करता
वो तो तेरा कलीम था वर्ना
सब से तू गुफ़्तुगू नहीं करता
सय्यद-उल-अम्बिया थे वो वर्ना
सब को तू रू-ब-रू नहीं करता
तेरी निस्बत मिली मुझे जब से
मैं कोई आरज़ू नहीं करता
हर घड़ी जिस की बात करता हूँ
मुझ से वो गुफ़्तुगू नहीं करता
दर-ब-दर यूँ नहीं भटकता मैं
जो फ़रामोश तू नहीं करता
हो नहीं पाती शाइरी 'अफ़ज़ल'
नज़्र जब तक लहू नहीं करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi
our suggestion based on Afzal Allahabadi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari