bulandi se kabhi vo aashnaai kar nahin saka | बुलंदी से कभी वो आश्नाई कर नहीं सकता - Afzal Allahabadi

bulandi se kabhi vo aashnaai kar nahin saka
jo tere aastaane ki gadaai kar nahin saka

zabaan rakhte hue bhi lab-kushaai kar nahin saka
koi qatra samundar se ladai kar nahin saka

tu jugnoo hai faqat raaton ke daaman mein basera kar
main suraj hoon tu mujh se aashnaai kar nahin saka

khudi ki daulat-e-uzma khuda ne mujh ko bakshi hai
qalander hoon main shahon ki gadaai kar nahin saka

sifat fir'aun ki tujh mein hai main moosa ka haami hoon
kabhi tasleem main teri khudaai kar nahin saka

jo zindaan mein aziyyat par aziyyat mujh ko deta hai
main us zalim se ummeed-e-rihaai kar nahin saka

jo kamtar hai badaai apni apne munh se karta hai
magar afzal kabhi apni badaai kar nahin saka

बुलंदी से कभी वो आश्नाई कर नहीं सकता
जो तेरे आस्ताने की गदाई कर नहीं सकता

ज़बाँ रखते हुए भी लब-कुशाई कर नहीं सकता
कोई क़तरा समुंदर से लड़ाई कर नहीं सकता

तू जुगनू है फ़क़त रातों के दामन में बसेरा कर
मैं सूरज हूँ तू मुझ से आश्नाई कर नहीं सकता

ख़ुदी की दौलत-ए-उज़मा ख़ुदा ने मुझ को बख़्शी है
क़लंदर हूँ मैं शाहों की गदाई कर नहीं सकता

सिफ़त फ़िरऔन की तुझ में है मैं मूसा का हामी हूँ
कभी तस्लीम मैं तेरी ख़ुदाई कर नहीं सकता

जो ज़िंदाँ में अज़िय्यत पर अज़िय्यत मुझ को देता है
मैं उस ज़ालिम से उम्मीद-ए-रिहाई कर नहीं सकता

जो कमतर है बड़ाई अपनी अपने मुँह से करता है
मगर 'अफ़ज़ल' कभी अपनी बड़ाई कर नहीं सकता

- Afzal Allahabadi
0 Likes

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Allahabadi

As you were reading Shayari by Afzal Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari