aadmi khwaar bhi hota hai nahin bhi hota
ishq aazaar bhi hota hai nahin bhi hota
ye jo kuchh log khayaalon mein raha karte hain
un ka ghar-baar bhi hota hai nahin bhi hota
zindagi sahl-pasandi mein basar kar lena
kaar-e-dushwaar bhi hota hai nahin bhi hota
kaar-e-duniya hi kuchh aisa hai ki dil se tira dard
silsila-waar bhi hota hai nahin bhi hota
shaadi-o-marg ne ye nukta bataaya hai ki waqt
tez-raftaar bhi hota hai nahin bhi hota
afzal aur qais ne qaanoon banaya hai ki ishq
doosri baar bhi hota hai nahin bhi hota
आदमी ख़्वार भी होता है नहीं भी होता
इश्क़ आज़ार भी होता है नहीं भी होता
ये जो कुछ लोग ख़यालों में रहा करते हैं
उन का घर-बार भी होता है नहीं भी होता
ज़िंदगी सहल-पसंदी में बसर कर लेना
कार-ए-दुश्वार भी होता है नहीं भी होता
कार-ए-दुनिया ही कुछ ऐसा है कि दिल से तिरा दर्द
सिलसिला-वार भी होता है नहीं भी होता
शादी-ओ-मर्ग ने ये नुक्ता बताया है कि वक़्त
तेज़-रफ़्तार भी होता है नहीं भी होता
'अफ़ज़ल' और क़ैस ने क़ानून बनाया है कि इश्क़
दूसरी बार भी होता है नहीं भी होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Khan
our suggestion based on Afzal Khan
As you were reading Valentine Shayari Shayari