aaj hi furqat se kal ka mas'ala chhedoonga main
mas'ala hal ho to hal ka mas'ala chhedoonga main
vasl o hijraan mein tanaasub raast hona chahiye
ishq ke radd-e-amal ka mas'ala chhedoonga main
dekhna sab log mujh ko khaariji thehraayenge
kal yahan jang-e-jamal ka mas'ala chhedoonga main
kashtiyon waale mujhe tawaan de kar paar jaayen
warna lehron mein khalal ka mas'ala chhedoonga main
mil hi jaayenge kahi to mujh ko bedil-haidri
kooza-gar waali ghazal ka mas'ala chhedoonga main
is shajar ki ek tahni parle aangan mein bhi hai
apne ham-saaye se fal ka mas'ala chhedoonga main
आज ही फ़ुर्सत से कल का मसअला छेड़ूँगा मैं
मसअला हल हो तो हल का मसअला छेड़ूँगा मैं
वस्ल ओ हिज्राँ में तनासुब रास्त होना चाहिए
इश्क़ के रद्द-ए-अमल का मसअला छेड़ूँगा मैं
देखना सब लोग मुझ को ख़ारिजी ठहराएँगे
कल यहाँ जंग-ए-जमल का मसअला छेड़ूँगा मैं
कश्तियों वाले मुझे तावान दे कर पार जाएँ
वर्ना लहरों में ख़लल का मसअला छेड़ूँगा मैं
मिल ही जाएँगे कहीं तो मुझ को 'बेदिल-हैदरी'
कूज़ा-गर वाली ग़ज़ल का मसअला छेड़ूँगा मैं
इस शजर की एक टहनी परले आँगन में भी है
अपने हम-साए से फल का मसअला छेड़ूँगा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Khan
our suggestion based on Afzal Khan
As you were reading Visaal Shayari Shayari