jab ik saraab mein pyaason ko pyaas utaarti hai | जब इक सराब में प्यासों को प्यास उतारती है - Afzal Khan

jab ik saraab mein pyaason ko pyaas utaarti hai
mere yaqeen ko qareen-e-qayaas utaarti hai

hamaare shehar ki ye vahshiyaana aab-o-hawa
har ek rooh mein jungle ki baas utaarti hai

ye zindagi to lubhaane lagi humein aise
ki jaise koi haseena libaas utaarti hai

tumhaare aane ki afwaah bhi sar aankhon par
ye baam-o-dar se udaasi ki ghaas utaarti hai

main seekh-paa hoon bahut zindagi ki gaadi par
ye roz shaam mujhe ghar ke paas utaarti hai

hamaara jism sukoon chahta hai aur ye raat
thakan utaarne aati hai maas utaarti hai

जब इक सराब में प्यासों को प्यास उतारती है
मिरे यक़ीं को क़रीन-ए-क़यास उतारती है

हमारे शहर की ये वहशियाना आब-ओ-हवा
हर एक रूह में जंगल की बास उतारती है

ये ज़िंदगी तो लुभाने लगी हमें ऐसे
कि जैसे कोई हसीना लिबास उतारती है

तुम्हारे आने की अफ़्वाह भी सर आँखों पर
ये बाम-ओ-दर से उदासी की घास उतारती है

मैं सीख़-पा हूँ बहुत ज़िंदगी की गाड़ी पर
ये रोज़ शाम मुझे घर के पास उतारती है

हमारा जिस्म सुकूँ चाहता है और ये रात
थकन उतारने आती है मास उतारती है

- Afzal Khan
0 Likes

Depression Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Khan

As you were reading Shayari by Afzal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Khan

Similar Moods

As you were reading Depression Shayari Shayari