shikast-e-zindagi vaise bhi maut hi hai na
to sach bata ye mulaqaat aakhiri hai na
kaha nahin tha mera jism aur bhar yaarab
so ab ye khaak tire paas bach gai hai na
tu mere haal se anjaan kab hai ai duniya
jo baat kah nahin paaya samajh rahi hai na
isee liye hamein ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhi hamaari mohabbat nayi nayi hai na
ye kor-chashm ujaalon se ishq karte hain
jo ghar jala ke bhi kahte hain raushni hai na
main khud bhi yaar tujhe bhoolne ke haq mein hoon
magar jo beech mein kam-bakht shaayeri hai na
main jaan-boojh ke aaya tha teg aur tire beech
miyaan nibhaani to padti hai dosti hai na
शिकस्त-ए-ज़िंदगी वैसे भी मौत ही है ना
तो सच बता ये मुलाक़ात आख़िरी है ना
कहा नहीं था मिरा जिस्म और भर यारब
सो अब ये ख़ाक तिरे पास बच गई है ना
तू मेरे हाल से अंजान कब है ऐ दुनिया
जो बात कह नहीं पाया समझ रही है ना
इसी लिए हमें एहसास-ए-जुर्म है शायद
अभी हमारी मोहब्बत नई नई है ना
ये कोर-चश्म उजालों से इश्क़ करते हैं
जो घर जला के भी कहते हैं रौशनी है ना
मैं ख़ुद भी यार तुझे भूलने के हक़ में हूँ
मगर जो बीच में कम-बख़्त शाएरी है ना
मैं जान-बूझ के आया था तेग़ और तिरे बीच
मियाँ निभानी तो पड़ती है दोस्ती है ना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Khan
our suggestion based on Afzal Khan
As you were reading I love you Shayari Shayari