main faqat is jurm mein duniya mein rusva ho gaya | मैं फ़क़त इस जुर्म में दुनिया में रुस्वा हो गया - Afzal Minhas

main faqat is jurm mein duniya mein rusva ho gaya
main ne jis chehre ko dekha tere jaisa ho gaya

chaand mein kaise nazar aaye tiri soorat mujhe
aandhiyon se aasmaan ka rang maila ho gaya

ek main hi raushni ke khwaab ko tarsa nahin
aaj to suraj bhi jab nikla to andha ho gaya

ye bhi shaayad zindagi ki ik ada hai dosto
jis ko saathi mil gaya vo aur tanhaa ho gaya

ek patthar zindagi ne taak kar maara mujhe
chot vo khaai ki saara jism dohraa ho gaya

mil gaya mitti mein jab afzal to ye aayi sada
gir gai deewaar aur saaya akela ho gaya

मैं फ़क़त इस जुर्म में दुनिया में रुस्वा हो गया
मैं ने जिस चेहरे को देखा तेरे जैसा हो गया

चाँद में कैसे नज़र आए तिरी सूरत मुझे
आँधियों से आसमाँ का रंग मैला हो गया

एक मैं ही रौशनी के ख़्वाब को तरसा नहीं
आज तो सूरज भी जब निकला तो अंधा हो गया

ये भी शायद ज़िंदगी की इक अदा है दोस्तो
जिस को साथी मिल गया वो और तन्हा हो गया

एक पत्थर ज़िंदगी ने ताक कर मारा मुझे
चोट वो खाई कि सारा जिस्म दोहरा हो गया

मिल गया मिट्टी में जब 'अफ़ज़ल' तो ये आई सदा
गिर गई दीवार और साया अकेला हो गया

- Afzal Minhas
0 Likes

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari