tumhaare pyaar ke qaabil nahin hoon
kinaara hoon magar saahil nahin hoon
mere dushman mujhe tu maaf kar de
tire is vaar se ghaail nahin hoon
utha saka tha main talwaar lekin
zamaane ki tarah zaahil nahin hoon
qaabil jal gaya main bhag aaya
magar aye yaar main buzdil nahin hoon
janaaze ki kasam sach kah raha hoon
nahin is jurm mein shaamil nahin hoon
mujhe badnaam karne mein lage hain
main apne yaar ka qaateel nahin hoon
mujhe ab chhodkar afzal chala ja
safar ka main tire manzil nahin hoon
तुम्हारे प्यार के क़ाबिल नहीं हूँ
किनारा हूँ मगर साहिल नहीं हूँ
मिरे दुश्मन मुझे तू माफ़ कर दे
तिरे इस वार से घाइल नहीं हूँ
उठा सकता था मैं तलवार लेकिन
ज़माने की तरह ज़ाहिल नहीं हूँ
क़बाइल जल गया मैं भाग आया
मगर अए यार मैं बुज़दिल नहीं हूँ
जनाज़े की कसम सच कह रहा हूँ
नहीं इस जुर्म में शामिल नहीं हूँ
मुझे बदनाम करने में लगे हैं
मैं अपने यार का क़ातिल नहीं हूँ
मुझे अब छोड़कर अफ़ज़ल चला जा
सफ़र का मैं तिरे मंज़िल नहीं हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri
our suggestion based on Afzal Sultanpuri
As you were reading Revenge Shayari Shayari