is shehr-e-tamanna mein koi mujh sa makeen hai | इस शहर-ए-तमन्ना में कोई मुझ सा मकीं है

  - Ahmad Abdullah

is shehr-e-tamanna mein koi mujh sa makeen hai
aandhi mein charaagon pe jise poora yaqeen hai

usse hi mukhatib hoon jo aflaak nasheen hai
is duniya mein sukh naami koi shay bhi kahi hai

taabeer bhale cheen le aankhon ki basaarat
ik khwaab haqeeqat mein haqeeqat se haseen hai

baarish ki dua tu hai to phir kos-e-qaza main
gar tujh sa nahin koi to mujh sa bhi nahin hai

jis ja pe dhara rehta tha darvesh ka qaasa
daave se ye kehta hoon khazana bhi wahin hai

इस शहर-ए-तमन्ना में कोई मुझ सा मकीं है
आँधी में चराग़ों पे जिसे पूरा यक़ीं है

उससे ही मुख़ातिब हूँ जो अफ़लाक नशीं है
इस दुनिया में सुख नामी कोई शय भी कहीं है

ताबीर भले छीन ले आँखों की बसारत
इक ख़्वाब हक़ीक़त में हक़ीक़त से हसीं है

बारिश की दुआ तू है तो फिर कोस-ए-क़ज़ा मैं
गर तुझ सा नहीं कोई तो मुझ सा भी नहीं है

जिस जा पे धरा रहता था दरवेश का कासा
दावे से ये कहता हूँ ख़ज़ाना भी वहीं है

  - Ahmad Abdullah

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Abdullah

As you were reading Shayari by Ahmad Abdullah

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Abdullah

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari