aziyyat hai ki roz-o-shab ghutan mehsoos hoti hai
bhale hon paas mere sab ghutan mehsoos hoti hai
ghutan meri deewani hai ghutan ka main deewaana hoon
zamaane ko bina matlab ghutan mehsoos hoti hai
mujhe tujh par nahin khud par bahut afsos hota hai
tere hote hue bhi jab ghutan mehsoos hoti hai
wahi jis baag mein sab log taza saans lete hain
mujhe us baag mein bhi ab ghutan mehsoos hoti hai
अज़िय्यत है कि रोज़-ओ-शब घुटन महसूस होती है
भले हों पास मेरे सब घुटन महसूस होती है
घुटन मेरी दीवानी है घुटन का मैं दीवाना हूँ
ज़माने को बिना मतलब घुटन महसूस होती है
मुझे तुझ पर नहीं ख़ुद पर बहुत अफ़सोस होता है
तेरे होते हुए भी जब घुटन महसूस होती है
वही जिस बाग़ में सब लोग ताज़ा साँस लेते हैं
मुझे उस बाग़ में भी अब घुटन महसूस होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Abdullah
our suggestion based on Ahmad Abdullah
As you were reading Sorry Shayari Shayari