ab aur kya kisi se maraasim badhaayein ham | अब और क्या किसी से मरासिम बढ़ाएँ हम

  - Ahmad Faraz

ab aur kya kisi se maraasim badhaayein ham
ye bhi bahut hai tujh ko agar bhool jaayen ham

sehara-e-zindagi mein koi doosra na tha
sunte rahe hain aap hi apni sadaaein ham

is zindagi mein itni faraaghat kise naseeb
itna na yaad aa ki tujhe bhool jaayen ham

tu itni dil-zada to na thi ai shab-e-firaq
aa tere raaste mein sitaare lutaaein ham

vo log ab kahaan hain jo kahte the kal faraaz
he he khuda-na-karda tujhe bhi rulaayein ham

अब और क्या किसी से मरासिम बढ़ाएँ हम
ये भी बहुत है तुझ को अगर भूल जाएँ हम

सहरा-ए-ज़िंदगी में कोई दूसरा न था
सुनते रहे हैं आप ही अपनी सदाएँ हम

इस ज़िंदगी में इतनी फ़राग़त किसे नसीब
इतना न याद आ कि तुझे भूल जाएँ हम

तू इतनी दिल-ज़दा तो न थी ऐ शब-ए-फ़िराक़
आ तेरे रास्ते में सितारे लुटाएँ हम

वो लोग अब कहाँ हैं जो कहते थे कल 'फ़राज़'
हे हे ख़ुदा-न-कर्दा तुझे भी रुलाएँ हम

  - Ahmad Faraz

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari