abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain | अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं

  - Ahmad Faraz

abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain
faraaz ab zara lahja badal ke dekhte hain

judaaiyaan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur door zara saath chal ke dekhte hain

rah-e-wafa mein hareef-e-khiraam koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hain

tu saamne hai to phir kyun yaqeen nahin aata
ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

ye kaun log hain maujood teri mehfil mein
jo laalchon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain

ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na door rahe
hazaar ek hi qaaleb mein dhal ke dekhte hain

na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
so ab ke dono hi chaalein badal ke dekhte hain

ye kaun hai sar-e-saahil ki doobne waale
samundron ki tahon se uchhal ke dekhte hain

abhi talak to na kundan hue na raakh hue
ham apni aag mein har roz jal ke dekhte hain

bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair-khabar
chalo faraaz ko ai yaar chal ke dekhte hain

अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं
'फ़राज़' अब ज़रा लहजा बदल के देखते हैं

जुदाइयाँ तो मुक़द्दर हैं फिर भी जान-ए-सफ़र
कुछ और दूर ज़रा साथ चल के देखते हैं

रह-ए-वफ़ा में हरीफ़-ए-ख़िराम कोई तो हो
सो अपने आप से आगे निकल के देखते हैं

तू सामने है तो फिर क्यूँ यक़ीं नहीं आता
ये बार बार जो आँखों को मल के देखते हैं

ये कौन लोग हैं मौजूद तेरी महफ़िल में
जो लालचों से तुझे मुझ को जल के देखते हैं

ये क़ुर्ब क्या है कि यक-जाँ हुए न दूर रहे
हज़ार एक ही क़ालिब में ढल के देखते हैं

न तुझ को मात हुई है न मुझ को मात हुई
सो अब के दोनों ही चालें बदल के देखते हैं

ये कौन है सर-ए-साहिल कि डूबने वाले
समुंदरों की तहों से उछल के देखते हैं

अभी तलक तो न कुंदन हुए न राख हुए
हम अपनी आग में हर रोज़ जल के देखते हैं

बहुत दिनों से नहीं है कुछ उस की ख़ैर-ख़बर
चलो 'फ़राज़' को ऐ यार चल के देखते हैं

  - Ahmad Faraz

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari