yoonhi mar mar ke jiein waqt guzaare jaayen
zindagi ham tire haathon se na maare jaayen
ab zameen par koi gautam na mohammad na maseeh
aasmaanon se naye log utaare jaayen
vo jo maujood nahin us ki madad chahte hain
vo jo sunta hi nahin us ko pukaare jaayen
baap larzaan hai ki pahunchee nahin baaraat ab tak
aur ham-joliyaan dulhan ko sanwaare jaayen
ham ki naadaan juwaari hain sabhi jaante hain
dil ki baazi ho to jee jaan se haare jaayen
taj diya tum ne dar-e-yaar bhi ukta ke faraaz
ab kahaan dhoondne gham-khwaar tumhaare jaayen
यूँही मर मर के जिएँ वक़्त गुज़ारे जाएँ
ज़िंदगी हम तिरे हाथों से न मारे जाएँ
अब ज़मीं पर कोई गौतम न मोहम्मद न मसीह
आसमानों से नए लोग उतारे जाएँ
वो जो मौजूद नहीं उस की मदद चाहते हैं
वो जो सुनता ही नहीं उस को पुकारे जाएँ
बाप लर्ज़ां है कि पहुँची नहीं बारात अब तक
और हम-जोलियाँ दुल्हन को सँवारे जाएँ
हम कि नादान जुआरी हैं सभी जानते हैं
दिल की बाज़ी हो तो जी जान से हारे जाएँ
तज दिया तुम ने दर-ए-यार भी उकता के 'फ़राज़'
अब कहाँ ढूँढने ग़म-ख़्वार तुम्हारे जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Aadmi Shayari Shayari