agarche zor hawaon ne daal rakha hai | अगरचे ज़ोर हवाओं ने डाल रक्खा है

  - Ahmad Faraz

agarche zor hawaon ne daal rakha hai
magar charaagh ne lau ko sanbhaal rakha hai

mohabbaton mein to milna hai ya ujad jaana
mizaaj-e-ishq mein kab e'tidaal rakha hai

hawa mein nashsha hi nashsha fazaa mein rang hi rang
ye kis ne pairhan apna uchaal rakha hai

bhale dinon ka bharosa hi kya rahein na rahein
so main ne rishta-e-gham ko bahaal rakha hai

ham aise saada-dilon ko vo dost ho ki khuda
sabhi ne waada-e-farda pe taal rakha hai

hisaab-e-lutf-e-hareefaan kiya hai jab to khula
ki doston ne ziyaada khayal rakha hai

bhari bahaar mein ik shaakh par khila hai gulaab
ki jaise tu ne hatheli pe gaal rakha hai

faraaz ishq ki duniya to khoob-soorat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakha hai

अगरचे ज़ोर हवाओं ने डाल रक्खा है
मगर चराग़ ने लौ को सँभाल रक्खा है

मोहब्बतों में तो मिलना है या उजड़ जाना
मिज़ाज-ए-इश्क़ में कब ए'तिदाल रक्खा है

हवा में नश्शा ही नश्शा फ़ज़ा में रंग ही रंग
ये किस ने पैरहन अपना उछाल रक्खा है

भले दिनों का भरोसा ही क्या रहें न रहें
सो मैं ने रिश्ता-ए-ग़म को बहाल रक्खा है

हम ऐसे सादा-दिलों को वो दोस्त हो कि ख़ुदा
सभी ने वादा-ए-फ़र्दा पे टाल रक्खा है

हिसाब-ए-लुत्फ़-ए-हरीफ़ाँ किया है जब तो खुला
कि दोस्तों ने ज़ियादा ख़याल रक्खा है

भरी बहार में इक शाख़ पर खिला है गुलाब
कि जैसे तू ने हथेली पे गाल रक्खा है

'फ़राज़' इश्क़ की दुनिया तो ख़ूब-सूरत थी
ये किस ने फ़ित्ना-ए-हिज्र-ओ-विसाल रक्खा है

  - Ahmad Faraz

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari