ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaanaan | अब के तजदीद-ए-वफ़ा का नहीं इम्काँ जानाँ

  - Ahmad Faraz

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaanaan
yaad kya tujh ko dilaayein tira paimaan jaanaan

yoonhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanaan

zindagi teri ata thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tira ehsaan jaanaan

dil ye kehta hai ki shaayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karein dil to hai naadaan jaanaan

awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tira chehra tha gulistaan jaanaan

aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-meena sulag utthi ki rag-e-jaan jaanaan

muddaton se yahi aalam na tavakko na umeed
dil pukaare hi chala jaata hai jaanaan jaanaan

ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakha tha
gham-e-dauraan se juda hai gham-e-jaanaan jaanaan

ab ke kuchh aisi saji mehfil-e-yaaraan jaanaan
sar-b-zaanu hai koi sar-b-garebaan jaanaan

har koi apni hi awaaz se kaanp uthata hai
har koi apne hi saaye se hiraasaan jaanaan

jis ko dekho wahi zanjeer-b-paa lagta hai
shehar ka shehar hua daakhil-e-zindaan jaanaan

ab tira zikr bhi shaayad hi ghazal mein aaye
aur se aur hue dard ke unwaan jaanaan

ham ki roothi hui rut ko bhi manaa lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanaan

hosh aaya to sabhi khwaab the reza reza
jaise udte hue auraq-e-pareshaan jaanaan

अब के तजदीद-ए-वफ़ा का नहीं इम्काँ जानाँ
याद क्या तुझ को दिलाएँ तिरा पैमाँ जानाँ

यूँही मौसम की अदा देख के याद आया है
किस क़दर जल्द बदल जाते हैं इंसाँ जानाँ

ज़िंदगी तेरी अता थी सो तिरे नाम की है
हम ने जैसे भी बसर की तिरा एहसाँ जानाँ

दिल ये कहता है कि शायद है फ़सुर्दा तू भी
दिल की क्या बात करें दिल तो है नादाँ जानाँ

अव्वल अव्वल की मोहब्बत के नशे याद तो कर
बे-पिए भी तिरा चेहरा था गुलिस्ताँ जानाँ

आख़िर आख़िर तो ये आलम है कि अब होश नहीं
रग-ए-मीना सुलग उट्ठी कि रग-ए-जाँ जानाँ

मुद्दतों से यही आलम न तवक़्क़ो न उमीद
दिल पुकारे ही चला जाता है जानाँ जानाँ

हम भी क्या सादा थे हम ने भी समझ रक्खा था
ग़म-ए-दौराँ से जुदा है ग़म-ए-जानाँ जानाँ

अब के कुछ ऐसी सजी महफ़िल-ए-याराँ जानाँ
सर-ब-ज़ानू है कोई सर-ब-गरेबाँ जानाँ

हर कोई अपनी ही आवाज़ से काँप उठता है
हर कोई अपने ही साए से हिरासाँ जानाँ

जिस को देखो वही ज़ंजीर-ब-पा लगता है
शहर का शहर हुआ दाख़िल-ए-ज़िंदाँ जानाँ

अब तिरा ज़िक्र भी शायद ही ग़ज़ल में आए
और से और हुए दर्द के उनवाँ जानाँ

हम कि रूठी हुई रुत को भी मना लेते थे
हम ने देखा ही न था मौसम-ए-हिज्राँ जानाँ

होश आया तो सभी ख़्वाब थे रेज़ा रेज़ा
जैसे उड़ते हुए औराक़-ए-परेशाँ जानाँ

  - Ahmad Faraz

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari