aisa hai ki sab khwaab musalsal nahin hote
jo aaj to hote hain magar kal nahin hote
andar ki fazaaon ke karishme bhi ajab hain
meh toot ke barase bhi to baadal nahin hote
kuchh mushkilein aisi hain ki aasaan nahin hoti
kuchh aise muamme hain kabhi hal nahin hote
shaistagi-e-gham ke sabab aankhon ke sehra
namnaak to ho jaate hain jal-thal nahin hote
kaise hi talaatum hon magar qulzum-e-jaan mein
kuchh yaad-jazeera hain ki ojhal nahin hote
ushshaq ke maanind kai ahl-e-hawas bhi
paagal to nazar aate hain paagal nahin hote
sab khwaahishein poori hon faraaz aisa nahin hai
jaise kai ashaar mukammal nahin hote
ऐसा है कि सब ख़्वाब मुसलसल नहीं होते
जो आज तो होते हैं मगर कल नहीं होते
अंदर की फ़ज़ाओं के करिश्मे भी अजब हैं
मेंह टूट के बरसे भी तो बादल नहीं होते
कुछ मुश्किलें ऐसी हैं कि आसाँ नहीं होतीं
कुछ ऐसे मुअम्मे हैं कभी हल नहीं होते
शाइस्तगी-ए-ग़म के सबब आँखों के सहरा
नमनाक तो हो जाते हैं जल-थल नहीं होते
कैसे ही तलातुम हों मगर क़ुल्ज़ुम-ए-जाँ में
कुछ याद-जज़ीरे हैं कि ओझल नहीं होते
उश्शाक़ के मानिंद कई अहल-ए-हवस भी
पागल तो नज़र आते हैं पागल नहीं होते
सब ख़्वाहिशें पूरी हों 'फ़राज़' ऐसा नहीं है
जैसे कई अशआर मुकम्मल नहीं होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Pagal Shayari Shayari