ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye | अब शौक़ से कि जाँ से गुज़र जाना चाहिए

  - Ahmad Faraz

ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye
bol ai hawa-e-shehr kidhar jaana chahiye

kab tak isee ko aakhiri manzil kaheinge ham
koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye

vo waqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar
gehre samundron mein utar jaana chahiye

ab raftagaan ki baat nahin kaarwaan ki hai
jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye

kuchh to suboot-e-khoon-e-tamanna kahi mile
hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chahiye

ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante
ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye

अब शौक़ से कि जाँ से गुज़र जाना चाहिए
बोल ऐ हवा-ए-शहर किधर जाना चाहिए

कब तक इसी को आख़िरी मंज़िल कहेंगे हम
कू-ए-मुराद से भी उधर जाना चाहिए

वो वक़्त आ गया है कि साहिल को छोड़ कर
गहरे समुंदरों में उतर जाना चाहिए

अब रफ़्तगाँ की बात नहीं कारवाँ की है
जिस सम्त भी हो गर्द-ए-सफ़र जाना चाहिए

कुछ तो सुबूत-ए-ख़ून-ए-तमन्ना कहीं मिले
है दिल तही तो आँख को भर जाना चाहिए

या अपनी ख़्वाहिशों को मुक़द्दस न जानते
या ख़्वाहिशों के साथ ही मर जाना चाहिए

  - Ahmad Faraz

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari