aashiqi mein meer jaise khwaab mat dekha karo | आशिक़ी में 'मीर' जैसे ख़्वाब मत देखा करो - Ahmad Faraz

aashiqi mein meer jaise khwaab mat dekha karo
baawle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo

jasta jasta padh liya karna mazaameen-e-wafa
par kitaab-e-ishq ka har baab mat dekha karo

is tamaashe mein ult jaati hain akshar kashtiyaan
doobne waalon ko zer-e-aab mat dekha karo

may-kade mein kya takalluf may-kashi mein kya hijaab
bazm-e-saaqi mein adab aadaab mat dekha karo

hum se darveshon ke ghar aao to yaaron ki tarah
har jagah khas-khaana o barfaab mat dekha karo

maange-taange ki qabaayein der tak rahti nahin
yaar logon ke laqab-alaqab mat dekha karo

tishnagi mein lab bhigo lena bhi kaafi hai faraaz
jaam mein sahaba hai ya zehraab mat dekha karo

आशिक़ी में 'मीर' जैसे ख़्वाब मत देखा करो
बावले हो जाओगे महताब मत देखा करो

जस्ता जस्ता पढ़ लिया करना मज़ामीन-ए-वफ़ा
पर किताब-ए-इश्क़ का हर बाब मत देखा करो

इस तमाशे में उलट जाती हैं अक्सर कश्तियाँ
डूबने वालों को ज़ेर-ए-आब मत देखा करो

मय-कदे में क्या तकल्लुफ़ मय-कशी में क्या हिजाब
बज़्म-ए-साक़ी में अदब आदाब मत देखा करो

हम से दरवेशों के घर आओ तो यारों की तरह
हर जगह ख़स-ख़ाना ओ बर्फ़ाब मत देखा करो

माँगे-ताँगे की क़बाएँ देर तक रहती नहीं
यार लोगों के लक़ब-अलक़ाब मत देखा करो

तिश्नगी में लब भिगो लेना भी काफ़ी है 'फ़राज़'
जाम में सहबा है या ज़हराब मत देखा करो

- Ahmad Faraz
4 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari