dost ban kar bhi nahin saath nibhaane waala
wahi andaaz hai zalim ka zamaane waala
ab use log samjhte hain girftaar mera
sakht naadim hai mujhe daam mein laane waala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki soorat
raat ko guncha-e-dil mein simat aane waala
kya kahein kitne maraasim the hamaare us se
vo jo ik shakhs hai munh fer ke jaane waala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanhaa hoon to koi nahin aane waala
muntazir kis ka hoon tooti hui dahleez pe main
kaun aayega yahan kaun hai aane waala
kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laane waala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khwaab ki taabeer bataane waala
tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhte ho faraaz
dost hota nahin har haath milaane waala
दोस्त बन कर भी नहीं साथ निभाने वाला
वही अंदाज़ है ज़ालिम का ज़माने वाला
अब उसे लोग समझते हैं गिरफ़्तार मिरा
सख़्त नादिम है मुझे दाम में लाने वाला
सुब्ह-दम छोड़ गया निकहत-ए-गुल की सूरत
रात को ग़ुंचा-ए-दिल में सिमट आने वाला
क्या कहें कितने मरासिम थे हमारे उस से
वो जो इक शख़्स है मुँह फेर के जाने वाला
तेरे होते हुए आ जाती थी सारी दुनिया
आज तन्हा हूँ तो कोई नहीं आने वाला
मुंतज़िर किस का हूँ टूटी हुई दहलीज़ पे मैं
कौन आएगा यहाँ कौन है आने वाला
क्या ख़बर थी जो मिरी जाँ में घुला है इतना
है वही मुझ को सर-ए-दार भी लाने वाला
मैं ने देखा है बहारों में चमन को जलते
है कोई ख़्वाब की ताबीर बताने वाला
तुम तकल्लुफ़ को भी इख़्लास समझते हो 'फ़राज़'
दोस्त होता नहीं हर हाथ मिलाने वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Gulshan Shayari Shayari