silsile tod gaya vo sabhi jaate jaate | सिलसिले तोड़ गया वो सभी जाते जाते

  - Ahmad Faraz

silsile tod gaya vo sabhi jaate jaate
warna itne to maraasim the ki aate jaate

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse kii koii sham'a jalate jaate

kitna aasaan tha tire hijr mein marna jaanaan
phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate

jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna ham bhi
paa-b-jaulaan hi sahi naachte gaate jaate

us kii vo jaane use paas-e-wafa tha ki na tha
tum faraaz apni taraf se to nibhaate jaate

सिलसिले तोड़ गया वो सभी जाते जाते
वर्ना इतने तो मरासिम थे कि आते जाते

शिकवा-ए-ज़ुल्मत-ए-शब से तो कहीं बेहतर था
अपने हिस्से की कोई शम्अ' जलाते जाते

कितना आसाँ था तिरे हिज्र में मरना जानाँ
फिर भी इक उम्र लगी जान से जाते जाते

जश्न-ए-मक़्तल ही न बरपा हुआ वर्ना हम भी
पा-ब-जौलाँ ही सही नाचते गाते जाते

उस की वो जाने उसे पास-ए-वफ़ा था कि न था
तुम 'फ़राज़' अपनी तरफ़ से तो निभाते जाते

  - Ahmad Faraz

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari