rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain | रोग ऐसे भी ग़म-ए-यार से लग जाते हैं - Ahmad Faraz

rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain
dar se uthte hain to deewaar se lag jaate hain

ishq aaghaaz mein halki si khalish rakhta hai
baad mein saikron aazaar se lag jaate hain

pehle pehle havas ik-aadh dukaaan kholti hai
phir to bazaar ke bazaar se lag jaate hain

bebaasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai
ro na paaye to gale yaar se lag jaate hain

katarnen gham ki jo galiyon mein udri phirti hain
ghar mein le aao to ambaar se lag jaate hain

daagh daaman ke hon dil ke hon ki chehre ke faraaz
kuchh nishaan umr ki raftaar se lag jaate hain

रोग ऐसे भी ग़म-ए-यार से लग जाते हैं
दर से उठते हैं तो दीवार से लग जाते हैं

इश्क़ आग़ाज़ में हल्की सी ख़लिश रखता है
बाद में सैकड़ों आज़ार से लग जाते हैं

पहले पहले हवस इक-आध दुकाँ खोलती है
फिर तो बाज़ार के बाज़ार से लग जाते हैं

बेबसी भी कभी क़ुर्बत का सबब बनती है
रो न पाएँ तो गले यार से लग जाते हैं

कतरनें ग़म की जो गलियों में उड़ी फिरती हैं
घर में ले आओ तो अम्बार से लग जाते हैं

दाग़ दामन के हों दिल के हों कि चेहरे के 'फ़राज़'
कुछ निशाँ उम्र की रफ़्तार से लग जाते हैं

- Ahmad Faraz
1 Like

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari