kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare | क्या ऐसे कम-सुख़न से कोई गुफ़्तुगू करे

  - Ahmad Faraz

kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare
jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare

ab to hamein bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin
par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare

tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi
khud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare

ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye
ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare

tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar
ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare

chup-chaap apni aag mein jalte raho faraaz
duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare

क्या ऐसे कम-सुख़न से कोई गुफ़्तुगू करे
जो मुस्तक़िल सुकूत से दिल को लहू करे

अब तो हमें भी तर्क-ए-मरासिम का दुख नहीं
पर दिल ये चाहता है कि आग़ाज़ तू करे

तेरे बग़ैर भी तो ग़नीमत है ज़िंदगी
ख़ुद को गँवा के कौन तिरी जुस्तुजू करे

अब तो ये आरज़ू है कि वो ज़ख़्म खाइए
ता-ज़िंदगी ये दिल न कोई आरज़ू करे

तुझ को भुला के दिल है वो शर्मिंदा-ए-नज़र
अब कोई हादसा ही तिरे रू-ब-रू करे

चुप-चाप अपनी आग में जलते रहो 'फ़राज़'
दुनिया तो अर्ज़-ए-हाल से बे-आबरू करे

  - Ahmad Faraz

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari