har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhe
kis ko sairaab kare vo kise pyaasa rakhe
umr bhar kaun nibhaata hai taalluq itna
ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakhe
ham ko achha nahin lagta koi hamnaam tira
koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakhe
dil bhi paagal hai ki us shakhs se waabasta hai
jo kisi aur ka hone de na apna rakhe
kam nahin tam-e-ibaadat bhi to hirs-e-zar se
faqr to vo hai ki jo deen na duniya rakhe
hans na itna bhi faqeeron ke akeley-pan par
ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanhaa rakhe
ye qana'at hai itaaat hai ki chaahat hai faraaz
ham to raazi hain vo jis haal mein jaisa rakhe
हर कोई दिल की हथेली पे है सहरा रक्खे
किस को सैराब करे वो किसे प्यासा रक्खे
उम्र भर कौन निभाता है तअल्लुक़ इतना
ऐ मिरी जान के दुश्मन तुझे अल्लाह रक्खे
हम को अच्छा नहीं लगता कोई हमनाम तिरा
कोई तुझ सा हो तो फिर नाम भी तुझ सा रक्खे
दिल भी पागल है कि उस शख़्स से वाबस्ता है
जो किसी और का होने दे न अपना रक्खे
कम नहीं तम-ए-इबादत भी तो हिर्स-ए-ज़र से
फ़क़्र तो वो है कि जो दीन न दुनिया रक्खे
हँस न इतना भी फ़क़ीरों के अकेले-पन पर
जा ख़ुदा मेरी तरह तुझ को भी तन्हा रक्खे
ये क़नाअ'त है इताअत है कि चाहत है 'फ़राज़'
हम तो राज़ी हैं वो जिस हाल में जैसा रक्खे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Dushmani Shayari Shayari