is qadar musalsal theen shiddatein judaai ki | इस क़दर मुसलसल थीं शिद्दतें जुदाई की

  - Ahmad Faraz

is qadar musalsal theen shiddatein judaai ki
aaj pehli baar us se main ne bewafaai ki

warna ab talak yun tha khwahishon ki baarish mein
ya to toot kar roya ya ghazal-saraai ki

taj diya tha kal jin ko ham ne teri chaahat mein
aaj un se majbooran taaza aashnaai ki

ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apne se
tu ne kis ghadi zalim meri ham-navaai ki

tark kar chuke qaasid koo-e-naa-muraadaan ko
kaun ab khabar laave shehr-e-aashnaai ki

tanj o ta'na o tohmat sab hunar hain naaseh ke
aap se koi pooche ham ne kya buraai ki

phir qafas mein shor utha qaaidiyon ka aur sayyaad
dekhna uda dega phir khabar rihaai ki

dukh hua jab us dar par kal faraaz ko dekha
laakh aib the us mein khoo na thi gadaai ki

इस क़दर मुसलसल थीं शिद्दतें जुदाई की
आज पहली बार उस से मैं ने बेवफ़ाई की

वर्ना अब तलक यूँ था ख़्वाहिशों की बारिश में
या तो टूट कर रोया या ग़ज़ल-सराई की

तज दिया था कल जिन को हम ने तेरी चाहत में
आज उन से मजबूरन ताज़ा आश्नाई की

हो चला था जब मुझ को इख़्तिलाफ़ अपने से
तू ने किस घड़ी ज़ालिम मेरी हम-नवाई की

तर्क कर चुके क़ासिद कू-ए-ना-मुरादाँ को
कौन अब ख़बर लावे शहर-ए-आश्नाई की

तंज़ ओ ता'ना ओ तोहमत सब हुनर हैं नासेह के
आप से कोई पूछे हम ने क्या बुराई की

फिर क़फ़स में शोर उट्ठा क़ैदियों का और सय्याद
देखना उड़ा देगा फिर ख़बर रिहाई की

दुख हुआ जब उस दर पर कल 'फ़राज़' को देखा
लाख ऐब थे उस में ख़ू न थी गदाई की

  - Ahmad Faraz

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari