suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain | सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं - Ahmad Faraz

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhte hain

suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki
so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

suna hai us ko bhi hai sher o shaayri se shagaf
so hum bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain

suna hai bole to baaton se phool jhadte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

suna hai raat use chaand takta rehta hai
sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain

suna hai din ko use titliyan sataati hain
suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain

suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki
suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain

suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

suna hai us ke labon se gulaab jalte hain
so hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain

suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki
jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain

suna hai jab se hamaail hain us ki gardan mein
mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain

suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain

suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin
ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain

bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka
so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain

suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain
chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain

kise naseeb ki be-pairhan use dekhe
kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain

kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi
agar vo khwaab hai taabeer kar ke dekhte hain

ab us ke shehar mein thehre ki kooch kar jaayen
faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain

सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं
सो उस के शहर में कुछ दिन ठहर के देखते हैं

सुना है रब्त है उस को ख़राब-हालों से
सो अपने आप को बरबाद कर के देखते हैं

सुना है दर्द की गाहक है चश्म-ए-नाज़ उस की
सो हम भी उस की गली से गुज़र के देखते हैं

सुना है उस को भी है शेर ओ शाइरी से शग़फ़
सो हम भी मो'जिज़े अपने हुनर के देखते हैं

सुना है बोले तो बातों से फूल झड़ते हैं
ये बात है तो चलो बात कर के देखते हैं

सुना है रात उसे चाँद तकता रहता है
सितारे बाम-ए-फ़लक से उतर के देखते हैं

सुना है दिन को उसे तितलियाँ सताती हैं
सुना है रात को जुगनू ठहर के देखते हैं

सुना है हश्र हैं उस की ग़ज़ाल सी आँखें
सुना है उस को हिरन दश्त भर के देखते हैं

सुना है रात से बढ़ कर हैं काकुलें उस की
सुना है शाम को साए गुज़र के देखते हैं

सुना है उस की सियह-चश्मगी क़यामत है
सो उस को सुरमा-फ़रोश आह भर के देखते हैं

सुना है उस के लबों से गुलाब जलते हैं
सो हम बहार पे इल्ज़ाम धर के देखते हैं

सुना है आइना तिमसाल है जबीं उस की
जो सादा दिल हैं उसे बन-सँवर के देखते हैं

सुना है जब से हमाइल हैं उस की गर्दन में
मिज़ाज और ही लाल ओ गुहर के देखते हैं

सुना है चश्म-ए-तसव्वुर से दश्त-ए-इम्काँ में
पलंग ज़ाविए उस की कमर के देखते हैं

सुना है उस के बदन की तराश ऐसी है
कि फूल अपनी क़बाएँ कतर के देखते हैं

वो सर्व-क़द है मगर बे-गुल-ए-मुराद नहीं
कि उस शजर पे शगूफ़े समर के देखते हैं

बस इक निगाह से लुटता है क़ाफ़िला दिल का
सो रह-रवान-ए-तमन्ना भी डर के देखते हैं

सुना है उस के शबिस्ताँ से मुत्तसिल है बहिश्त
मकीं उधर के भी जल्वे इधर के देखते हैं

रुके तो गर्दिशें उस का तवाफ़ करती हैं
चले तो उस को ज़माने ठहर के देखते हैं

किसे नसीब कि बे-पैरहन उसे देखे
कभी कभी दर ओ दीवार घर के देखते हैं

कहानियाँ ही सही सब मुबालग़े ही सही
अगर वो ख़्वाब है ताबीर कर के देखते हैं

अब उस के शहर में ठहरें कि कूच कर जाएँ
'फ़राज़' आओ सितारे सफ़र के देखते हैं

- Ahmad Faraz
21 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari