shola tha jal-bujha hoon hawaaein mujhe na do | शो'ला था जल-बुझा हूँ हवाएँ मुझे न दो - Ahmad Faraz

shola tha jal-bujha hoon hawaaein mujhe na do
main kab ka ja chuka hoon sadaaein mujhe na do

jo zahar pee chuka hoon tumheen ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaaein mujhe na do

ye bhi bada karam hai salaamat hai jism abhi
ai khusrawaan-e-shehr qabaayein mujhe na do

aisa na ho kabhi ki palat kar na aa sakoon
har baar door ja ke sadaaein mujhe na do

kab mujh ko e'tiraaf-e-mohabbat na tha faraaz
kab main ne ye kaha hai sazaayein mujhe na do

शो'ला था जल-बुझा हूँ हवाएँ मुझे न दो
मैं कब का जा चुका हूँ सदाएँ मुझे न दो

जो ज़हर पी चुका हूँ तुम्हीं ने मुझे दिया
अब तुम तो ज़िंदगी की दुआएँ मुझे न दो

ये भी बड़ा करम है सलामत है जिस्म अभी
ऐ ख़ुसरवान-ए-शहर क़बाएँ मुझे न दो

ऐसा न हो कभी कि पलट कर न आ सकूँ
हर बार दूर जा के सदाएँ मुझे न दो

कब मुझ को ए'तिराफ़-ए-मोहब्बत न था 'फ़राज़'
कब मैं ने ये कहा है सज़ाएँ मुझे न दो

- Ahmad Faraz
2 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari