qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata | क़ुर्बत भी नहीं दिल से उतर भी नहीं जाता

  - Ahmad Faraz

qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata
vo shakhs koi faisla kar bhi nahin jaata

aankhen hain ki khaali nahin rahti hain lahu se
aur zakhm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jaata

vo raahat-e-jaan hai magar is dar-badri mein
aisa hai ki ab dhyaan udhar bhi nahin jaata

ham dohri aziyyat ke girftaar musaafir
paanv bhi hain shal shauk-e-safar bhi nahin jaata

dil ko tiri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jaata

paagal hue jaate ho faraaz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahin jaata

क़ुर्बत भी नहीं दिल से उतर भी नहीं जाता
वो शख़्स कोई फ़ैसला कर भी नहीं जाता

आँखें हैं कि ख़ाली नहीं रहती हैं लहू से
और ज़ख़्म-ए-जुदाई है कि भर भी नहीं जाता

वो राहत-ए-जाँ है मगर इस दर-बदरी में
ऐसा है कि अब ध्यान उधर भी नहीं जाता

हम दोहरी अज़िय्यत के गिरफ़्तार मुसाफ़िर
पाँव भी हैं शल शौक़-ए-सफ़र भी नहीं जाता

दिल को तिरी चाहत पे भरोसा भी बहुत है
और तुझ से बिछड़ जाने का डर भी नहीं जाता

पागल हुए जाते हो 'फ़राज़' उस से मिले क्या
इतनी सी ख़ुशी से कोई मर भी नहीं जाता

  - Ahmad Faraz

Eitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Eitbaar Shayari Shayari