is se pehle ki be-wafa ho jaayen | इस से पहले कि बे-वफ़ा हो जाएँ - Ahmad Faraz

is se pehle ki be-wafa ho jaayen
kyun na ai dost hum juda ho jaayen

tu bhi heere se ban gaya patthar
hum bhi kal jaane kya se kya ho jaayen

tu ki yaktaa tha be-shumaar hua
hum bhi tooten to jaa-b-jaa ho jaayen

hum bhi majbooriyon ka uzr karein
phir kahi aur mubtala ho jaayen

hum agar manzilen na ban paaye
manzilon tak ka raasta ho jaayen

der se soch mein hain parwaane
raakh ho jaayen ya hawa ho jaayen

ishq bhi khel hai naseebon ka
khaak ho jaayen keemiya ho jaayen

ab ke gar tu mile to hum tujh se
aise lipatein tiri qaba ho jaayen

bandagi hum ne chhod di hai faraaz
kya karein log jab khuda ho jaayen

इस से पहले कि बे-वफ़ा हो जाएँ
क्यूँ न ऐ दोस्त हम जुदा हो जाएँ

तू भी हीरे से बन गया पत्थर
हम भी कल जाने क्या से क्या हो जाएँ

तू कि यकता था बे-शुमार हुआ
हम भी टूटें तो जा-ब-जा हो जाएँ

हम भी मजबूरियों का उज़्र करें
फिर कहीं और मुब्तला हो जाएँ

हम अगर मंज़िलें न बन पाए
मंज़िलों तक का रास्ता हो जाएँ

देर से सोच में हैं परवाने
राख हो जाएँ या हवा हो जाएँ

इश्क़ भी खेल है नसीबों का
ख़ाक हो जाएँ कीमिया हो जाएँ

अब के गर तू मिले तो हम तुझ से
ऐसे लिपटें तिरी क़बा हो जाएँ

बंदगी हम ने छोड़ दी है 'फ़राज़'
क्या करें लोग जब ख़ुदा हो जाएँ

- Ahmad Faraz
9 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari