ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa | रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ

  - Ahmad Faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa

pehle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaenge judaai ka sabab ham
tu mujh se khafa hai to zamaane ke liye aa

ik umr se hoon lazzat-e-giryaa se bhi mahroom
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain ummeedein
ye aakhiri shamaein bhi bujhaane ke liye aa

रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ
आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ

कुछ तो मिरे पिंदार-ए-मोहब्बत का भरम रख
तू भी तो कभी मुझ को मनाने के लिए आ

पहले से मरासिम न सही फिर भी कभी तो
रस्म-ओ-रह-ए-दुनिया ही निभाने के लिए आ

किस किस को बताएँगे जुदाई का सबब हम
तू मुझ से ख़फ़ा है तो ज़माने के लिए आ

इक उम्र से हूँ लज़्ज़त-ए-गिर्या से भी महरूम
ऐ राहत-ए-जाँ मुझ को रुलाने के लिए आ

अब तक दिल-ए-ख़ुश-फ़हम को तुझ से हैं उम्मीदें
ये आख़िरी शमएँ भी बुझाने के लिए आ

  - Ahmad Faraz

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari