tere hote hue mehfil mein jalate hain charaagh
log kya saada hain suraj ko dikhaate hain charaagh
apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain
khud nahin rakhte to auron ke bujhaate hain charaagh
bastiyaan door hui jaati hain rafta rafta
dam-b-dam aankhon se chhupte chale jaate hain charaagh
kya khabar un ko ki daaman bhi bhadak uthte hain
jo zamaane ki hawaon se bachaate hain charaagh
go siyah-bakht hain ham log pe raushan hai zameer
khud andhere mein hain duniya ko dikhaate hain charaagh
bastiyaan chaand sitaaron ki basaane waalo
kurra-e-arz pe bujhte chale jaate hain charaagh
aise bedard hue ham bhi ki ab gulshan par
barq girti hai to zindaan mein jalate hain charaagh
aisi taariqiyaan aankhon mein basi hain ki faraaz
raat to raat hai ham din ko jalate hain charaagh
तेरे होते हुए महफ़िल में जलाते हैं चराग़
लोग क्या सादा हैं सूरज को दिखाते हैं चराग़
अपनी महरूमी के एहसास से शर्मिंदा हैं
ख़ुद नहीं रखते तो औरों के बुझाते हैं चराग़
बस्तियाँ दूर हुई जाती हैं रफ़्ता रफ़्ता
दम-ब-दम आँखों से छुपते चले जाते हैं चराग़
क्या ख़बर उन को कि दामन भी भड़क उठते हैं
जो ज़माने की हवाओं से बचाते हैं चराग़
गो सियह-बख़्त हैं हम लोग पे रौशन है ज़मीर
ख़ुद अँधेरे में हैं दुनिया को दिखाते हैं चराग़
बस्तियाँ चाँद सितारों की बसाने वालो
कुर्रा-ए-अर्ज़ पे बुझते चले जाते हैं चराग़
ऐसे बेदर्द हुए हम भी कि अब गुलशन पर
बर्क़ गिरती है तो ज़िंदाँ में जलाते हैं चराग़
ऐसी तारीकियाँ आँखों में बसी हैं कि 'फ़राज़'
रात तो रात है हम दिन को जलाते हैं चराग़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading Qaid Shayari Shayari