tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost | तुझ से मिल कर तो ये लगता है कि ऐ अजनबी दोस्त - Ahmad Faraz

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pehli mohabbat thi meri aakhiri dost

log har baat ka afsaana bana dete hain
ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost

tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi
meri chaahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost

yaad aayi hai to phir toot ke yaad aayi hai
koi guzri hui manzil koi bhooli hui dost

ab bhi aaye ho to ehsaan tumhaara lekin
vo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost

tere lehje ki thakan mein tira dil shaamil hai
aisa lagta hai judaai ki ghadi aa gai dost

baarish-e-sang ka mausam hai mere shehar mein to
tu ye sheeshe sa badan le ke kahaan aa gai dost

main use ahd-shikan kaise samajh luun jis ne
aakhiri khat mein ye likkha tha faqat aap ki dost

तुझ से मिल कर तो ये लगता है कि ऐ अजनबी दोस्त
तू मिरी पहली मोहब्बत थी मिरी आख़िरी दोस्त

लोग हर बात का अफ़्साना बना देते हैं
ये तो दुनिया है मिरी जाँ कई दुश्मन कई दोस्त

तेरे क़ामत से भी लिपटी है अमर-बेल कोई
मेरी चाहत को भी दुनिया की नज़र खा गई दोस्त

याद आई है तो फिर टूट के याद आई है
कोई गुज़री हुई मंज़िल कोई भूली हुई दोस्त

अब भी आए हो तो एहसान तुम्हारा लेकिन
वो क़यामत जो गुज़रनी थी गुज़र भी गई दोस्त

तेरे लहजे की थकन में तिरा दिल शामिल है
ऐसा लगता है जुदाई की घड़ी आ गई दोस्त

बारिश-ए-संग का मौसम है मिरे शहर में तो
तू ये शीशे सा बदन ले के कहाँ आ गई दोस्त

मैं उसे अहद-शिकन कैसे समझ लूँ जिस ने
आख़िरी ख़त में ये लिक्खा था फ़क़त आप की दोस्त

- Ahmad Faraz
11 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari