us ne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya | उस ने सुकूत-ए-शब में भी अपना पयाम रख दिया

  - Ahmad Faraz

us ne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diya

aamad-e-dost ki naved koo-e-wafa mein aam thi
main ne bhi ik charaagh sa dil sar-e-shaam rakh diya

shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-may-kashi rahi
us ne jo fer li nazar main ne bhi jaam rakh diya

us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhun kahe
main ne to us ke paanv mein saara kalaam rakh diya

dekho ye mere khwaab the dekho ye mere zakham hain
main ne to sab hisaab-e-jaan bar-sar-e-aam rakh diya

ab ke bahaar ne bhi keen aisi sharaaratein ki bas
kabk-e-dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya

jo bhi mila usi ka dil halka-b-gosh-e-yaar tha
us ne to saare shehar ko kar ke ghulaam rakh diya

aur faraaz chaahiyein kitni mohabbatein tujhe
maon ne tere naam par bacchon ka naam rakh diya

उस ने सुकूत-ए-शब में भी अपना पयाम रख दिया
हिज्र की रात बाम पर माह-ए-तमाम रख दिया

आमद-ए-दोस्त की नवेद कू-ए-वफ़ा में आम थी
मैं ने भी इक चराग़ सा दिल सर-ए-शाम रख दिया

शिद्दत-ए-तिश्नगी में भी ग़ैरत-ए-मय-कशी रही
उस ने जो फेर ली नज़र मैं ने भी जाम रख दिया

उस ने नज़र नज़र में ही ऐसे भले सुख़न कहे
मैं ने तो उस के पाँव में सारा कलाम रख दिया

देखो ये मेरे ख़्वाब थे देखो ये मेरे ज़ख़्म हैं
मैं ने तो सब हिसाब-ए-जाँ बर-सर-ए-आम रख दिया

अब के बहार ने भी कीं ऐसी शरारतें कि बस
कब्क-ए-दरी की चाल में तेरा ख़िराम रख दिया

जो भी मिला उसी का दिल हल्क़ा-ब-गोश-ए-यार था
उस ने तो सारे शहर को कर के ग़ुलाम रख दिया

और 'फ़राज़' चाहिएँ कितनी मोहब्बतें तुझे
माओं ने तेरे नाम पर बच्चों का नाम रख दिया

  - Ahmad Faraz

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari