qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange | क़ुर्बतों में भी जुदाई के ज़माने माँगे

  - Ahmad Faraz

qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange
dil vo be-mehr ki rone ke bahaane maange

ham na hote to kisi aur ke charche hote
khilqat-e-shehr to kehne ko fasaane maange

yahi dil tha ki tarasta tha maraasim ke liye
ab yahi tark-e-taalluq ke bahaane maange

apna ye haal ki jee haar chuke loot bhi chuke
aur mohabbat wahi andaaz purane maange

zindagi ham tire daaghoon se rahe sharminda
aur tu hai ki sada aaina-khaane maange

dil kisi haal pe qaaney hi nahin jaan-e-'faraz
mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange

क़ुर्बतों में भी जुदाई के ज़माने माँगे
दिल वो बे-मेहर कि रोने के बहाने माँगे

हम न होते तो किसी और के चर्चे होते
ख़िल्क़त-ए-शहर तो कहने को फ़साने माँगे

यही दिल था कि तरसता था मरासिम के लिए
अब यही तर्क-ए-तअल्लुक़ के बहाने माँगे

अपना ये हाल कि जी हार चुके लुट भी चुके
और मोहब्बत वही अंदाज़ पुराने माँगे

ज़िंदगी हम तिरे दाग़ों से रहे शर्मिंदा
और तू है कि सदा आईना-ख़ाने माँगे

दिल किसी हाल पे क़ाने ही नहीं जान-ए-'फ़राज़'
मिल गए तुम भी तो क्या और न जाने माँगे

  - Ahmad Faraz

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari