main rang-e-aasmaan kar ke sunhari chhod deta hoon | मैं रंग-ए-आसमाँ कर के सुनहरी छोड़ देता हूँ

  - Ahmad Kamal Parvazi

main rang-e-aasmaan kar ke sunhari chhod deta hoon
watan ki khaak le kar ek mutthi chhod deta hoon

ye kya kam hai ki haqq-e-khud-parasti chhod deta hoon
tumhaara naam aata hai to kursi chhod deta hoon

main roz-e-jashn ki tafseel likh kar rakh to leta hoon
magar us jashn ki taarikh khaali chhod deta hoon

bahut mushkil hai mujh se may-parasti kaise chhootegi
magar haan aaj se firka-parasti chhod deta hoon

khud apne haath se rasm-e-vidaai kar to di par ab
koi baaraat aati hai to basti chhod deta hoon

tumhaare vasl ka jis din koi imkaan hota hai
main us din roza rakhta hoon buraai chhod deta hoon

hukoomat mil gai to un ka koocha chhoot jaayega
isee nuqte pe aa kar baadshaahi chhod deta hoon

mubarak ho tujhe sad-aafreen ai shaan-e-mehroomi
tire pahluu mein aa ke ghar-grihasti chhod deta hoon

मैं रंग-ए-आसमाँ कर के सुनहरी छोड़ देता हूँ
वतन की ख़ाक ले कर एक मुट्ठी छोड़ देता हूँ

ये क्या कम है कि हक़्क़-ए-ख़ुद-परस्ती छोड़ देता हूँ
तुम्हारा नाम आता है तो कुर्सी छोड़ देता हूँ

मैं रोज़-ए-जश्न की तफ़्सील लिख कर रख तो लेता हूँ
मगर उस जश्न की तारीख़ ख़ाली छोड़ देता हूँ

बहुत मुश्किल है मुझ से मय-परस्ती कैसे छूटेगी
मगर हाँ आज से फ़िर्का-परस्ती छोड़ देता हूँ

ख़ुद अपने हाथ से रस्म-ए-विदाई कर तो दी पर अब
कोई बारात आती है तो बस्ती छोड़ देता हूँ

तुम्हारे वस्ल का जिस दिन कोई इम्कान होता है
मैं उस दिन रोज़ा रखता हूँ बुराई छोड़ देता हूँ

हुकूमत मिल गई तो उन का कूचा छूट जाएगा
इसी नुक़्ते पे आ कर बादशाही छोड़ देता हूँ

मुबारक हो तुझे सद-आफ़रीं ऐ शान-ए-महरूमी
तिरे पहलू में आ के घर-गृहस्ती छोड़ देता हूँ

  - Ahmad Kamal Parvazi

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parvazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari