zara zara si kai kashtiyaan bana lena | ज़रा ज़रा सी कई कश्तियाँ बना लेना

  - Ahmad Kamal Parvazi

zara zara si kai kashtiyaan bana lena
vo ab ke aaye to bachpan rafu kara lena

tamaazton mein mere gham ke saaye mein chalna
andhera ho to mera hausla jala lena

shuruat mein main bhi ise raushni samajhta tha
ye zindagi hai ise haath mat laga lena

main koi fard nahin hoon ki bojh ban jaaun
ik ishtehaar hoon deewaar par laga lena

rafaqaton ka tawazun agar bigad jaaye
khamoshiyon ke taawun se ghar chala lena

ज़रा ज़रा सी कई कश्तियाँ बना लेना
वो अब के आए तो बचपन रफ़ू करा लेना

तमाज़तों में मिरे ग़म के साए में चलना
अंधेरा हो तो मिरा हौसला जला लेना

शुरूअ में मैं भी इसे रौशनी समझता था
ये ज़िंदगी है इसे हाथ मत लगा लेना

मैं कोई फ़र्द नहीं हूँ कि बोझ बन जाऊँ
इक इश्तिहार हूँ दीवार पर लगा लेना

रफ़ाक़तों का तवाज़ुन अगर बिगड़ जाए
ख़मोशियों के तआवुन से घर चला लेना

  - Ahmad Kamal Parvazi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parvazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari