itna mohtaath ki jumbish nahin karne dega
umr-bhar ek guzarish nahin karne dega
us se ummeed ye karte ho ki suraj ka tawaaf
vo to mehwar pe bhi gardish nahin karne dega
dil hi chahega to zanjeer ke tukde honge
us se pehle koi koshish nahin karne dega
paar karne ke liye aaj bhi dariya ka bahao
aisa rakkhega ki khwaahish nahin karne dega
ab bhi seene mein kahaan baagh utarne waala
paanv de jaayega laghzish nahin karne dega
इतना मोहतात कि जुम्बिश नहीं करने देगा
उम्र-भर एक गुज़ारिश नहीं करने देगा
उस से उम्मीद ये करते हो कि सूरज का तवाफ़
वो तो मेहवर पे भी गर्दिश नहीं करने देगा
दिल ही चाहेगा तो ज़ंजीर के टुकड़े होंगे
उस से पहले कोई कोशिश नहीं करने देगा
पार करने के लिए आज भी दरिया का बहाओ
ऐसा रक्खेगा कि ख़्वाहिश नहीं करने देगा
अब भी सीने में कहाँ बाग़ उतरने वाला
पाँव दे जाएगा लग़्ज़िश नहीं करने देगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parvazi
our suggestion based on Ahmad Kamal Parvazi
As you were reading Dil Shayari Shayari